| Ques. ID | 1647 | |
| Question | 1] Kya mein Mustahib Namaz computer par kamm karty huey aada ki jaa sakti hai? 2] Kya mustahib namaz office kay lye tayar hony kay baad, qibley ka rukh kar kay isharun [signs] mein parhi jaa sakti hai? 3] Kya mustahib namaz signs mein kare ho kar, qibla rooh ho par parhi jaa sakti hai? 4] Kya yeh namaz ghar kay kaam karty huey parhi jaa sakti hai? 5] Kya mustahib namaz wadu kay begair parhi jaa sakti hai? 6] Kya jummah ki namaz mein yeh amal sahi hai kay hum Jummah ki niyat Qurbatanillah ki niyat say parhein aur Zohr ahetiyat Qurbatanillah ki niyat sey parhein? Zara isski wazahat karein kyun kay mujhe pata hai kay Jummah ki tamam sharait hon tu zohr nahi parhi jaati. Bas sirf iss amal kay baare mein jaana hai kay yeh sahi hai nahi. | |
| Country | Karachi - Pakistan | |
| Answer | bismehi taala, (1-2-3-4) = nafal namaze halate ikhteyar me beth kar padhi ja sakati hain, mustabah namaz rasta chalte huye or sawari ki halat me padhi ja sakati hain, or agar insan in dono halto me mustahab namaz padhe to zaroori nahi ke uska munh kible ki tarf ho (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 754, 769) (5) mustabab namazo me wazu sharte sehat he. (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 315 page # 78) (6) agar namaze juma me zaroori sharayet puri ho to wo namaze zohar se afazal he or zohar ki jageh le sakati he. agar koi mukallaf namaze juma padh le to zohar ke badale usi par ektefa kar sakata he. (ref: jadid masail Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 27 page # 77) is masaale me mazeed maloomat ke liye aap www.sistani.com se ruju karen, ham bhi Insha Allah aap ka masala bhej denge. | |
| Topic | Namaz kay Aihkaam | |
| Mujtahid | Aayat-ul-Allah Seestani | |
| Answered By | Quran-o-Itrat Academy | |
| Ques. ID | 1528 | |
| Question | Q.1: kia tashood main ali un waliullah kehna sahi hy ya nahi. | |
| Country | karachi - pakistan | |
| Answer | ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi. REF: A.Sistani, www.sistani.org. | |
| Topic | Namaz kay Aihkaam | |
| Mujtahid | Aayat-ul-Allah Seestani | |
| Answered By | Quran-o-Itrat Academy | |
| Ques. ID | 1510 | |
| Question | mera sawal hay k aurat ki namaz main (farz namaz main) 2 rakato k baad teesri rakat main sana nahi parhain aur alhamdo k baad koi surat nahi parhtain hain aur teesri aur chothi rakat main ? | |
| Country | delhi - india | |
| Answer | Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.994.Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.992. | |
| Topic | Namaz kay Aihkaam | |
| Mujtahid | -- None -- | |
| Answered By | Quran-o-Itrat Academy | |
| Ques. ID | 1491 | |
| Question | mera sawal yeh hai k pakistan k time key mutabiq multan city mein "maghriban"ki azan takreeban 7:10 pm per hoti hai or taqreeban 7:25pm per pora andhera cha jata hai agar main kisi waja sey andherey k baad magrib ki namaz ada karoon to kiya meri "niyat","qaza" ki ho gi or yahi condition agar "namaz-e-fajr" ki ho jomein kabhi neend ki waja se nahin parh sakta to kiya mein 6:30am ya 7:30am per bhi fajr ki namaz qaza ki niyat se ada kar sakta hoon? | |
| Country | multan - pakistan | |
| Answer | sQuran-o-Itrat Academy Looking Meeting Exposed Meeting 06 Ar Brokers F 1t v v Good Good eQuran-o-Itrat Academy Looking Meeting Exposed Meeting 06 Ar Brokers F 1s u Good |